Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sadme jo kuchh hon dil pe sahiye

Hafeez Jaunpuri

sadme jo kuchh hon dil pe sahiye

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    sadme jo kuchh hoñ dil pe sahiye

    pūchhe bhī koī to chup rahiye

    be-sabr kah ke ruk ga.e kyuuñ

    kahiye kahiye kuchh aur kahiye

    āḳhir kab tak ye be-niyāzī

    insāf se aap na kahiye

    mar jaane baat hai ye

    mere liye aap zulm sahiye

    āñkhoñ meñ ġhurūr hai kisī

    kis tarah kisī se dab ke rahiye

    sunñe jo baat ho vo suniye

    kahne jo baat ho vo kahiye

    rone ko paḌī hai umr saarī

    chhāloñ tarah na phuuT bahiye

    suniye jo 'hafīz' musībat

    ro dījiye aap meñ na rahiye

    sadme jo kuchh hon dil pe sahiye

    puchhe bhi koi to chup hi rahiye

    be-sabr hi kah ke ruk gae kyun

    kahiye kahiye kuchh aur kahiye

    aaKHir kab tak ye be-niyazi

    insaf se aap hi na kahiye

    mar hi jaane ki baat hai ye

    mere liye aap zulm sahiye

    aankhon mein ghurur hai kisi ka

    kis tarah kisi se dab ke rahiye

    sunne ki jo baat ho wo suniye

    kahne ki jo baat ho wo kahiye

    rone ko paDi hai umr sari

    chhaalon ki tarah na phuT bahiye

    suniye jo 'hafiz' ki musibat

    ro dijiye aap mein na rahiye

    Source:

    Diwan-e-Hafeez(Rekhta Website) (Pg. 150)

    • Author: Hafeez Jaunpuri
      • Edition: 1903
      • Publisher: Matba Hakeem,Gorakhpur
      • Year of Publication: 1903
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now