safar hayat ka jo iKHtitam tak pahuncha
safar hayāt kā jo iḳhtitām tak pahuñchā
parān daan diye to maiñ raam tak pahuñchā
har ik maqām ko maanā salām kartā gayā
isī liye to ye ḳhākī maqām tak pahuñchā
tire qarīb huā jo bhī kaam kā na rahā
huā hai duur jo tujh se vo kaam tak pahuñchā
hai jis ke baḳht meñ hikmat bhī mā'rifat bhī yahāñ
vahī to vaqt ke 'aalī imaam tak pahuñchā
'adū ko sāmne pā kar bhī dekhtā hī rahā
agarche haath 'adū kā niyām tak pahuñchā
safar hayat ka jo iKHtitam tak pahuncha
paran dan diye to main ram tak pahuncha
har ek maqam ko mana salam karta gaya
isi liye to ye KHaki maqam tak pahuncha
tere qarib hua jo bhi kaam ka na raha
hua hai dur jo tujh se wo kaam tak pahuncha
hai jis ke baKHt mein hikmat bhi ma'rifat bhi yahan
wahi to waqt ke 'ali imam tak pahuncha
'adu ko samne pa kar bhi dekhta hi raha
agarche hath 'adu ka niyam tak pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.