Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahar ko bhi meri mahfil mein barhami na hui

Saqib Lakhnavi

sahar ko bhi meri mahfil mein barhami na hui

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    sahar ko bhī mirī mahfil meñ barhamī na huī

    tamām-rāt huī dard meñ kamī na huī

    ġhurūr-e-husn tamannā-e-dil dushman thā

    vo kaun din thā ki jis din hamāhamī na huī

    umañD rahī hai mire dil ke saath barsoñ se

    ye koī nahr huī aañkh namī na huī

    maiñ apne qatl shākī nahīñ huā to huā

    ye rañj hai ki tire zulm meñ kamī na huī

    lahad pe aane andāz saikḌoñ the magar

    ḳhush aa.ī vaz.a unheñ vo jo mātamī na huī

    ulaT ulaT ga.e dil mere intiqāl ke ba.ad

    ye kyā ki aap zulfoñ meñ barhamī na huī

    hazāroñ uTh ga.e āġhosh-e-dahr se lekin

    ajiib ghar hai zamāna jahāñ ġhamī na huī

    ye jism rūh-e-bahī-ḳhvāh rahā dushman

    tamām-umr kabhī sulh-e-bāhamī na huī

    har ek ke liye khīñchā ravā nahīñ 'sāqib'

    bhavoñ husn kyā hai agar ḳhamī na huī

    sahar ko bhi meri mahfil mein barhami na hui

    tamam-raat hui dard mein kami na hui

    ghurur-e-husn tamanna-e-dil ka dushman tha

    wo kaun din tha ki jis din hamahami na hui

    umanD rahi hai mere dil ke sath barson se

    ye koi nahr hui aankh ki nami na hui

    main apne qatl ka shaki nahin hua to hua

    ye ranj hai ki tere zulm mein kami na hui

    lahad pe aane ki andaz saikDon the magar

    KHush aai waza unhen wo jo matami na hui

    ulaT ulaT gae dil mere intiqal ke baad

    ye kya ki aap ki zulfon mein barhami na hui

    hazaron uTh gae aaghosh-e-dahr se lekin

    ajib ghar hai zamana jahan ghami na hui

    ye jism ruh-e-bahi-KHwah ka raha dushman

    tamam-umr kabhi sulh-e-bahami na hui

    har ek ke liye khincha rawa nahin 'saqib'

    bhawon ka husn hi kya hai agar KHami na hui

    Source:

    Deewan-e-Saqib (Pg. 317)

    • Author: Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
      • Edition: 1998
      • Publisher: Urdu Acadami U.P.
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now