sahar mein rang-e-sahar ke siwa kuchh aur nahin
sahar meñ rang-e-sahar ke sivā kuchh aur nahīñ
ye rang ḳhūn-e-jigar ke sivā kuchh aur nahīñ
vo rah-guzar ki farishte jahāñ pahuñch na sakeñ
hamārī rāhguzar ke sivā kuchh aur nahīñ
har ik nashāt meñ jo kaif-e-jāvedānī hai
vo terī mast nazar ke sivā kuchh aur nahīñ
tumhāre dāman-e-rangīñ pe ashk-e-ġham mere
nujūm-o-shams-o-qamar ke sivā kuchh aur nahīñ
bahut hasīn hai duniyā-e-rang-o-bū lekin
bas ik fareb-e-nazar ke sivā kuchh aur nahīñ
ba-qaul hazrat-e-iqbāl aaj bhī 'shādāñ'
hayāt zauq-e-safar ke sivā kuchh aur nahīñ
sahar mein rang-e-sahar ke siwa kuchh aur nahin
ye rang KHun-e-jigar ke siwa kuchh aur nahin
wo rah-guzar ki farishte jahan pahunch na saken
hamari rahguzar ke siwa kuchh aur nahin
har ek nashat mein jo kaif-e-jawedani hai
wo teri mast nazar ke siwa kuchh aur nahin
tumhaare daman-e-rangin pe ashk-e-gham mere
nujum-o-shams-o-qamar ke siwa kuchh aur nahin
bahut hasin hai duniya-e-rang-o-bu lekin
bas ek fareb-e-nazar ke siwa kuchh aur nahin
ba-qaul hazrat-e-iqbaal aaj bhi 'shadan'
hayat zauq-e-safar ke siwa kuchh aur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.