sahar-o-sham meri dur ki aahaT jaise
sahar-o-shām mirī duur kī aahaT jaise
bistar-e-ḳhvāb pe jaagī huī karvaT jaise
ik tasanno' hai ki sab jiite haiñ jī lenā hai
zindagī tere baġhair ek banāvaT jaise
tirī palkeñ haiñ ki jis tarah sipar Daale koī
tirī āñkheñ haiñ tirī pyaas kā panghaT jaise
ungliyāñ kāñptī haiñ chuTkiyāñ jal uThtī haiñ
aaj tak husn ke chehre pe ho ghūñghaT jaise
kis ko mā'lūm thā nāmūs-e-jabīñ kā anjām
ek duniyā huī mujh ko tirī chaukhaT jaise
raushnī chhantī huī aas ke kāshāne se
koī bhūle se khulā chhoḌ gayā paT jaise
'shāz' naġhmoñ pe shab-e-vasl kā nuur utrā hai
us kī peshānī pe bāloñ kī koī laT jaise
sahar-o-sham meri dur ki aahaT jaise
bistar-e-KHwab pe jagi hui karwaT jaise
ek tasanno' hai ki sab jite hain ji lena hai
zindagi tere baghair ek banawaT jaise
teri palken hain ki jis tarah sipar Dale koi
teri aankhen hain teri pyas ka panghaT jaise
ungliyan kanpti hain chuTkiyan jal uThti hain
aaj tak husn ke chehre pe ho ghunghaT jaise
kis ko ma'lum tha namus-e-jabin ka anjam
ek duniya hui mujh ko teri chaukhaT jaise
raushni chhanti hui aas ke kashane se
koi bhule se khula chhoD gaya paT jaise
'shaz' naghmon pe shab-e-wasl ka nur utra hai
us ki peshani pe baalon ki koi laT jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.