Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sahra mein marunga na chaman ja ke marunga

Amar Ruhani

sahra mein marunga na chaman ja ke marunga

Amar Ruhani

MORE BYAmar Ruhani

    sahrā meñ marūñgā na chaman ke marūñgā

    is kūcha-e-dushnām meñ aa ke marūñgā

    e'zāz hai ulfat ke marāhil se guzarnā

    iThlā.ūñgā itrā.ūñgā lahrā ke marūñgā

    kahte haiñ mujhe log ḳhudāvand-e-mohabbat

    so hukm-e-vafā husn ko farmā ke marūñgā

    maiñ husn nahīñ 'ishq huuñ phir bhī sar-e-mahfil

    sad-nāz-o-adā dilbarī dikhlā ke marūñgā

    is baar marūñgā maiñ na.ī 'umr ḳhātir

    is baar to marne sila ke marūñgā

    maiñ mar bhī chukā kab se nahīñ māntā koī

    ḳhud laash ko apnī kahīñ dafnā ke marūñgā

    us zūd-farāmosh aamad bhī hai imshab

    ruk dast-e-qazā aaj maiñ kal aa ke marūñgā

    ġhairoñ 'ināyāt bhī kholūñgā maiñ tujh par

    apnoñ ke sabhī daav bhī samjhā ke marūñgā

    dīvār meñ chunvā do mujhe shauq se lekin

    har dil ko baġhāvat pe maiñ uksā ke marūñgā

    zinda huuñ 'amar' karb-e-musalsal meñ abhī tak

    maiñ apne gunāhoñ sazā ke marūñgā

    sahra mein marunga na chaman ja ke marunga

    is kucha-e-dushnam mein hi aa ke marunga

    e'zaz hai ulfat ke marahil se guzarna

    iThlaunga itraunga lahra ke marunga

    kahte hain mujhe log KHudawand-e-mohabbat

    so hukm-e-wafa husn ko farma ke marunga

    main husn nahin 'ishq hun phir bhi sar-e-mahfil

    sad-naz-o-ada dilbari dikhla ke marunga

    is bar marunga main nai 'umr ki KHatir

    is bar to marne ka sila pa ke marunga

    main mar bhi chuka kab se nahin manta koi

    KHud lash ko apni kahin dafna ke marunga

    us zud-faramosh ki aamad bhi hai imshab

    ruk dast-e-qaza aaj main kal aa ke marunga

    ghairon ki 'inayat bhi kholunga main tujh par

    apnon ke sabhi daw bhi samjha ke marunga

    diwar mein chunwa do mujhe shauq se lekin

    har dil ko baghawat pe main uksa ke marunga

    zinda hun 'amar' karb-e-musalsal mein abhi tak

    main apne gunahon ki saza pa ke marunga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now