sahra sameT len ye samundar sameT len
sahrā sameT leñ ye samundar sameT leñ
āñkheñ tamām pyaas ke manzar sameT leñ
ai sub.h thoḌī der kī mohlat ki rāhgīr
jaate haiñ bas ye raat kā bistar sameT leñ
har sub.h ḳhud ko jism ke bāhar bikher kar
har shaam ḳhud ko jism ke andar sameT leñ
sar par is āsmān ke hone se fā.eda
behtar hai ye phaTī huī chādar sameT leñ
hañste haiñ ham ko dekh ke ahl-e-qafas magar
par phaḌphaḌā.e jā.eñge kyā par sameT leñ
is ḳhāmushī meñ aaj bhī vus'at hai is qadar
baḌh kar havā-e-vaqt kī sarsar sameT leñ
sahra sameT len ye samundar sameT len
aankhen tamam pyas ke manzar sameT len
ai subh thoDi der ki mohlat ki rahgir
jate hain bas ye raat ka bistar sameT len
har subh KHud ko jism ke bahar bikher kar
har sham KHud ko jism ke andar sameT len
sar par is aasman ke hone se faeda
behtar hai ye phaTi hui chadar sameT len
hanste hain hum ko dekh ke ahl-e-qafas magar
par phaDphaDae jaenge kya par sameT len
is KHamushi mein aaj bhi wus'at hai is qadar
baDh kar hawa-e-waqt ki sarsar sameT len
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 98)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.