said hun roz-e-azal se aalam-e-asbab ka
said huuñ roz-e-azal se ālam-e-asbāb kā
aur vā rakhtā huuñ siine meñ darīcha ḳhvāb kā
sāmne aate hī us ke merī vahshat jaag uThī
dhyān rahtā thā mujhe yuuñ to bahut ādāb kā
kār-zār-e-ishq se bāhar nikal kar dekhiye
saarī bastī meñ ujālā hai usī kamyāb kā
ālam-e-rūyā maiñ dekhā thā jase maiñ ne kabhī
aks hai ab merī āñkhoñ meñ usī mehrāb kā
aa gayā āḳhir kitāb-e-ishq kā anjām bhī
duur tak bikhrā huā manzar hai pahle baab kā
shaam hai aur surḳh peḌoñ ke dahakte saa.e bhī
niiñd meñ bahtā huā dhārā hai jū-e-āb kā
kis liye 'sājid' banātā huuñ gharauñde ret ke
ruḳh badal saktā hai thoḌī der meñ sailāb kā
said hun roz-e-azal se aalam-e-asbab ka
aur wa rakhta hun sine mein daricha KHwab ka
samne aate hi us ke meri wahshat jag uThi
dhyan rahta tha mujhe yun to bahut aadab ka
kar-zar-e-ishq se bahar nikal kar dekhiye
sari basti mein ujala hai usi kamyab ka
aalam-e-ruya main dekha tha jase main ne kabhi
aks hai ab meri aankhon mein usi mehrab ka
aa gaya aaKHir kitab-e-ishq ka anjam bhi
dur tak bikhra hua manzar hai pahle bab ka
sham hai aur surKH peDon ke dahakte sae bhi
nind mein bahta hua dhaara hai ju-e-ab ka
kis liye 'sajid' banata hun gharaunde ret ke
ruKH badal sakta hai thoDi der mein sailab ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.