Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samjho ki har bala se hifazat mein kaT gai

Mujahid Hadi

samjho ki har bala se hifazat mein kaT gai

Mujahid Hadi

MORE BYMujahid Hadi

    samjho ki har balā se hifāzat meñ kaT ga.ī

    insān jo raat ibādat meñ kaT ga.ī

    us ko sukūn mil nahīñ saktā faqīrī meñ

    umr-e-darāz jis siyāsat meñ kaT ga.ī

    apnoñ ke vāste maiñ ne sab kuchh luTā diyā

    shah-rag bachī thī vo bhī mohabbat meñ kaT ga.ī

    qurbānī hamesha maiñ ne mulk ke liye

    gardan bhī merī us hifāzat meñ kaT ga.ī

    khoī haiñ kitnī sunnateñ ham ne huzūr

    dāḌhī bhī is zamāne sohbat meñ kaT ga.ī

    ham ko to chāhiye thā mohabbat bāñTte

    afsos hai ki umr ye nafrat meñ kaT ga.ī

    rab ke huzūr hāzirī jab yaqīn thā

    to kyoñ ye zindagī tirī ġhaflat meñ kaT ga.ī

    dushvār thā safar yuuñ to 'hādī' ke vāste

    lekin ye raah terī rifāqat meñ kaT ga.ī

    samjho ki har bala se hifazat mein kaT gai

    insan ki jo raat ibaadat mein kaT gai

    us ko sukun mil nahin sakta faqiri mein

    umr-e-daraaz jis ki siyasat mein kaT gai

    apnon ke waste main ne sab kuchh luTa diya

    shah-rag bachi thi wo bhi mohabbat mein kaT gai

    qurbani di hamesha main ne mulk ke liye

    gardan bhi meri us ki hifazat mein kaT gai

    khoi hain kitni sunnaten hum ne huzur ki

    daDhi bhi is zamane ki sohbat mein kaT gai

    hum ko to chahiye tha mohabbat hi banTte

    afsos hai ki umr ye nafrat mein kaT gai

    rab ke huzur haziri ka jab yaqin tha

    to kyon ye zindagi teri ghaflat mein kaT gai

    dushwar tha safar yun to 'hadi' ke waste

    lekin ye rah teri rifaqat mein kaT gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now