Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samundar ke bhanwar mein kitne manzar tairte hain

Sunil Aftab

samundar ke bhanwar mein kitne manzar tairte hain

Sunil Aftab

MORE BYSunil Aftab

    samundar ke bhañvar meñ kitne manzar tairte haiñ

    agar gahrā.ī meñ dekho to patthar tairte haiñ

    hameñ aayā na dariyā se kabhī samjhauta karnā

    na jaane log kaise kāġhazoñ par tairte haiñ

    baḌe tairāk āḳhir Dūbte haiñ sāhiloñ par

    jinheñ kam naaz ho ḳhud par vo aksar tairte haiñ

    tumhāre hijr rāteñ tumhāre vasl ke din

    hamārī aañkh meñ ab tak vo manzar tairte haiñ

    baḌī gahrā.ī meñ milte haiñ lafzoñ ke ḳhazāne

    guhar bhī kyā kabhī paanī ke uupar tairte haiñ

    samundar ke bhanwar mein kitne manzar tairte hain

    agar gahrai mein dekho to patthar tairte hain

    hamein aaya na dariya se kabhi samjhauta karna

    na jaane log kaise kaghazon par tairte hain

    baDe tairak aaKHir Dubte hain sahilon par

    jinhen kam naz ho KHud par wo aksar tairte hain

    tumhaare hijr ki raaten tumhaare wasl ke din

    hamari aankh mein ab tak wo manzar tairte hain

    baDi gahrai mein milte hain lafzon ke KHazane

    guhar bhi kya kabhi pani ke upar tairte hain

    Source :
    • Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 28)
    • Author : Sunil Aftab
    • Publication : Rekhta Publications (2024)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now