samundaron se milega mujhe sukun kab tak
samundaroñ se milegā mujhe sukūñ kab tak
maiñ apnī pyaas ko is ret par likhūñ kab tak
jhulastī dhuup meñ ik sāya-dār saath meñ ho
maiñ apne jism kī parchhā.iyāñ takūñ kab tak
mire ḳhudā mire kamre ko ek khiḌkī de
maiñ apne aap ko tābūt meñ rakhūñ kab tak
hamāre baad bhī ham jaise log ā.eñge
hadaf banegā ḳhudā jaane ye junūñ kab tak
vo rut bhī aa.e ki jazbāt sard paḌ jaa.eñ
badan meñ shor machā.egā garm ḳhuuñ kab tak
kabhī-kabhār dar-e-dil pe aa ke dastak de
tirī nigāh kī ḳhāmoshiyāñ sunūñ kab tak
ab is kitāb ko andar se dekhne de mujhe
sar-e-varaq pe likhe sher ko paḌhūñ kab tak
samundaron se milega mujhe sukun kab tak
main apni pyas ko is ret par likhun kab tak
jhulasti dhup mein ek saya-dar sath mein ho
main apne jism ki parchhaiyan takun kab tak
mere KHuda mere kamre ko ek khiDki de
main apne aap ko tabut mein rakhun kab tak
hamare baad bhi hum jaise log aaenge
hadaf banega KHuda jaane ye junun kab tak
wo rut bhi aae ki jazbaat sard paD jaen
badan mein shor machaega garm KHun kab tak
kabhi-kabhaar dar-e-dil pe aa ke dastak de
teri nigah ki KHamoshiyan sunun kab tak
ab is kitab ko andar se dekhne de mujhe
sar-e-waraq pe likhe sher ko paDhun kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.