Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar-e-ihata-e-gham raat bhar sanwarna tha

Mazhar Imam

sar-e-ihata-e-gham raat bhar sanwarna tha

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    sar-e-ihāta-e-ġham raat bhar sañvarnā thā

    tirī judā.ī meñ kār-e-hunar bhī karnā thā

    ufuq qarīb thā himmat surḳh-rūī

    lahū meñ Duub ke dariyā ko paar utarnā thā

    hameñ thī kaun sajde aarzū tum se

    magar duā meñ kabhī ham ko yaad karnā thā

    agar maiñ barg-e-sahar huuñ to tum ko thoḌī der

    misāl-e-qatra-e-shabnam yahāñ Thaharnā thā

    javāb to pata thā hameñ magar phir bhī

    lab-e-savāl milā thā savāl karnā thā

    vo log sāhil-e-shab par bikhar ga.e kaise

    unheñ to ā.ina-e-sub.h meñ sañvarnā thā

    sar-e-ihata-e-gham raat bhar sanwarna tha

    teri judai mein kar-e-hunar bhi karna tha

    ufuq qarib tha himmat ki surKH-rui ka

    lahu mein Dub ke dariya ko par utarna tha

    hamein thi kaun si sajde ki aarzu tum se

    magar dua mein kabhi hum ko yaad karna tha

    agar main barg-e-sahar hun to tum ko thoDi der

    misal-e-qatra-e-shabnam yahan Thaharna tha

    jawab ka to pata tha hamein magar phir bhi

    lab-e-sawal mila tha sawal karna tha

    wo log sahil-e-shab par bikhar gae kaise

    unhen to aaina-e-subh mein sanwarna tha

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 500)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now