sar-e-mahfil taKHatub mohtaram karna paDega
sar-e-mahfil taḳhātub mohtaram karnā paḌegā
ye maiñ tū kā ta'alluq aap ham karnā paḌegā
raheñge is tarah luTne pe ham tayyār kab tak
hameñ kuchh jazba-e-īsār kam karnā paḌegā
mire ḳhāliq safar terī taraf kī vāpsī kā
mujhe be-jism ho kar be-qadam karnā paḌegā
zamīñ par āsmāñ kā is jagah mehvar hai shāyad
sitāroñ kī tarah tauf-e-haram karnā paḌegā
mohabbat meñ hamārā dil bikhartā jā rahā hai
kisī sūrat hameñ is ko baham karnā paḌegā
ka.ī din tak ravā rakhnī paḌegī sust-kārī
kisī din kaam koī ek dam karnā paḌegā
bahut ġhāfil hai paanī bilbilātī tishnagī se
samundar ab hameñ sahrā meñ zam karnā paḌegā
mire andar kiye jā dam-ba-dam sarshār mujh ko
tujhe mujh par musalsal ye karam karnā paḌegā
yahāñ jo mā'bad-e-haq meñ sharākat chāhtā hai
hameñ be-daḳhl har aisā sanam karnā paḌegā
agar tārīḳh likhnī hai simaTte jangaloñ kī
to koī ik shajar 'āsim' qalam karnā paḌegā
sar-e-mahfil taKHatub mohtaram karna paDega
ye main tu ka ta'alluq aap hum karna paDega
rahenge is tarah luTne pe hum tayyar kab tak
hamein kuchh jazba-e-isar kam karna paDega
mere KHaliq safar teri taraf ki wapsi ka
mujhe be-jism ho kar be-qadam karna paDega
zamin par aasman ka is jagah mehwar hai shayad
sitaron ki tarah tauf-e-haram karna paDega
mohabbat mein hamara dil bikharta ja raha hai
kisi surat hamein is ko baham karna paDega
kai din tak rawa rakhni paDegi sust-kari
kisi din kaam koi ek dam karna paDega
bahut ghafil hai pani bilbilati tishnagi se
samundar ab hamein sahra mein zam karna paDega
mere andar kiye ja dam-ba-dam sarshaar mujh ko
tujhe mujh par musalsal ye karam karna paDega
yahan jo ma'bad-e-haq mein sharakat chahta hai
hamein be-daKHl har aisa sanam karna paDega
agar tariKH likhni hai simaTte jangalon ki
to koi ek shajar 'asim' qalam karna paDega
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 171)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.