sar-e-mimbar wo KHwabon ke mahal tamir karte hain
sar-e-mimbar vo ḳhvāboñ ke mahal tā'mīr karte haiñ
'ilāj-e-ġham nahīñ karte faqat taqrīr karte haiñ
bahar-ālam ḳhudā kā shukr kiije un kā kahnā hai
ḳhatā karte haiñ ham jo shikva-e-taqdīr karte haiñ
hamārī shā'irī meñ dil dhaḌaktā hai zamāne kā
vo nālāñ haiñ hamārī log kyoñ tauqīr karte haiñ
unheñ ḳhushnūdī-e-shāhāñ kā daa.im paas rahtā hai
ham apne she'r se logoñ ke dil tasḳhīr karte haiñ
hamāre zehn par chhā.e nahīñ haiñ hirs ke saa.e
jo ham mahsūs karte haiñ vahī tahrīr karte haiñ
bane phirte haiñ kuchh aise bhī shā'ir is zamāne meñ
sanā 'ġhālib' kī karte haiñ na zikr-e-'mīr' karte haiñ
hasīn āñkhoñ madhur gītoñ ke sundar des ko kho kar
maiñ hairāñ huuñ vo zikr-e-vādī-e-kashmīr karte haiñ
hamāre dard kā 'jālib' mudāvā ho nahīñ saktā
ki har qātil ko chārāgar se ham tā'bīr karte haiñ
sar-e-mimbar wo KHwabon ke mahal ta'mir karte hain
'ilaj-e-gham nahin karte faqat taqrir karte hain
bahar-alam KHuda ka shukr kije un ka kahna hai
KHata karte hain hum jo shikwa-e-taqdir karte hain
hamari sha'iri mein dil dhaDakta hai zamane ka
wo nalan hain hamari log kyon tauqir karte hain
unhen KHushnudi-e-shahan ka daim pas rahta hai
hum apne she'r se logon ke dil tasKHir karte hain
hamare zehn par chhae nahin hain hirs ke sae
jo hum mahsus karte hain wahi tahrir karte hain
bane phirte hain kuchh aise bhi sha'ir is zamane mein
sana 'ghaalib' ki karte hain na zikr-e-'mir' karte hain
hasin aankhon madhur giton ke sundar des ko kho kar
main hairan hun wo zikr-e-wadi-e-kashmir karte hain
hamare dard ka 'jalib' mudawa ho nahin sakta
ki har qatil ko chaaragar se hum ta'bir karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.