sar gharibon ke KHam ziyaada hain
sar ġharīboñ ke ḳham ziyāda haiñ
is liye un ke ġham ziyāda haiñ
jaane vo zulf hai bahut pur-pech
yā giraftār ham ziyāda haiñ
kyā uTheñge niyāz-mandoñ se
tere naaz ai sanam ziyāda haiñ
dushmanoñ ke sitam hazār sahī
dostoñ ke karam ziyāda haiñ
saḳht masrūfiyat rahī phir bhī
aaj ham tāza-dam ziyāda haiñ
sāhibān-e-'alam haiñ chand 'sha'ūr'
sāhibān-e-qalam ziyāda haiñ
sar gharibon ke KHam ziyaada hain
is liye un ke gham ziyaada hain
jaane wo zulf hai bahut pur-pech
ya giraftar hum ziyaada hain
kya uThenge niyaz-mandon se
tere naz ai sanam ziyaada hain
dushmanon ke sitam hazar sahi
doston ke karam ziyaada hain
saKHt masrufiyat rahi phir bhi
aaj hum taza-dam ziyaada hain
sahiban-e-'alam hain chand 'sha'ur'
sahiban-e-qalam ziyaada hain
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 153)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.