sar-o-samaniyon mein ji rahe ho
sar-o-sāmāniyoñ meñ jī rahe ho
baḌī arzāniyoñ meñ jī rahe ho
baḌī taklīf se guzroge ik din
bahut āsāniyoñ meñ jī rahe ho
ye duniyā hai yahāñ aisā hī hogā
'abas hairāniyoñ meñ jī rahe ho
mohabbat bandagī pās-e-aqīdat
ye kin nādāniyoñ meñ jī rahe ho
abhī shādāb lagtā hai sabhī kuchh
abhī tuġhyāniyoñ meñ jī rahe ho
chalo sahrā meñ chal ke ġhul machāo
ye kin vīrāniyoñ meñ jī rahe ho
na tairā jaa.e hai tum se na Duubā
ye kaise pāniyoñ meñ jī rahe ho
sar-o-samaniyon mein ji rahe ho
baDi arzaniyon mein ji rahe ho
baDi taklif se guzroge ek din
bahut aasaniyon mein ji rahe ho
ye duniya hai yahan aisa hi hoga
'abas hairaniyon mein ji rahe ho
mohabbat bandagi pas-e-aqidat
ye kin nadaniyon mein ji rahe ho
abhi shadab lagta hai sabhi kuchh
abhi tughyaniyon mein ji rahe ho
chalo sahra mein chal ke ghul machao
ye kin viraniyon mein ji rahe ho
na taira jae hai tum se na Duba
ye kaise paniyon mein ji rahe ho
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 118)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.