sar par hamare saya-e-diwar bhi nahin

Atul Ajnabi

sar par hamare saya-e-diwar bhi nahin

Atul Ajnabi

MORE BYAtul Ajnabi

  sar par hamāre sāya-e-dīvār bhī nahīñ

  sūraj ham faqīroñ ghar-bār bhī nahīñ

  mujh se ta.alluqāt iqrār bhī nahīñ

  aur koī pūchhtā hai to inkār bhī nahīñ

  gahrā.ī us nadī bhalā kyā patā lage

  jis meñ bhañvar nahīñ koī mañjhdār bhī nahīñ

  jis ko tamām umr amal meñ na sake

  aisī vo raa.e dene haqdār bhī nahīñ

  sāñsoñ Dor thāme chalī rahī hai umr

  varna kisī se koī sarokār bhī nahīñ

  sar par hamare saya-e-diwar bhi nahin

  suraj sa hum faqiron ka ghar-bar bhi nahin

  mujh se talluqat ka iqrar bhi nahin

  aur koi puchhta hai to inkar bhi nahin

  gahrai us nadi ki bhala kya pata lage

  jis mein bhanwar nahin koi manjhdar bhi nahin

  jis ko tamam umr amal mein na la sake

  aisi wo rae dene ka haqdar bhi nahin

  sanson ki Dor thame chali ja rahi hai umr

  warna kisi se koi sarokar bhi nahin

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY