sar pe dast-e-dua charagh ka hai
sar pe dast-e-du'ā charāġh kā hai
ye bhī ik mo'jiza charāġh kā hai
ye jo raushan haiñ ḳhāl-o-ḳhad mere
mujh se ik rābta charāġh kā hai
hukm ye hai ki nange-pāñv chalo
kyūñki ye rāsta charāġh kā hai
raushnī ab mujhe gale se lagā
aur tujhe vāsta charāġh kā hai
ye jo raushan hai aañkh chehre par
asl meñ aabla charāġh kā hai
yā to ye dāstān hai us kī
yā koī vāqi'a charāġh kā hai
aaj phir us kā sāmnā hai aur
darmiyāñ fāsla charāġh kā hai
roz jaltā hai roz bujhtā hai
kis qadar hausla charāġh kā hai
sar pe dast-e-du'a charagh ka hai
ye bhi ek mo'jiza charagh ka hai
ye jo raushan hain KHal-o-KHad mere
mujh se ek rabta charagh ka hai
hukm ye hai ki nange-panw chalo
kyunki ye rasta charagh ka hai
raushni ab mujhe gale se laga
aur tujhe wasta charagh ka hai
ye jo raushan hai aankh chehre par
asl mein aabla charagh ka hai
ya to ye dastan hai us ki
ya koi waqi'a charagh ka hai
aaj phir us ka samna hai aur
darmiyan fasla charagh ka hai
roz jalta hai roz bujhta hai
kis qadar hausla charagh ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.