Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar-phiri pagal hawa ka tez jhonka aaega

Krishn Adeeb

sar-phiri pagal hawa ka tez jhonka aaega

Krishn Adeeb

MORE BYKrishn Adeeb

    sar-phirī pāgal havā tez jhoñkā aa.egā

    hasratoñ ke ḳhushk pattoñ ko uḌā le jā.egā

    dūdhiyā ākāsh meñ kis ko sadā detā hai

    tere maazī parinda ab na vāpas aa.egā

    chhoTī chhoTī ḳhvāhishoñ qatl hote dekh kar

    umr ehsās ruḳh par gard ban ke chhā.egā

    vaqt us se chhīn legā ḳhud-pasandī ġhurūr

    haañ yaqīnan vo ḳhudā ban kar bahut pachhtā.egā

    vo hai sar-tā-pā mujassam ik francisi sharāb

    nashsha ban kar jism us zehn par bhī chhā.egā

    ḳhvāhishoñ ke jañgaloñ meñ lazzatoñ ke peḌ haiñ

    jin ke saa.e meñ musāfir der tak sustā.egā

    aap apnī aag meñ ham haath tāpeñge 'adīb'

    jab december saath apne barf-bārī lā.egā

    sar-phiri pagal hawa ka tez jhonka aaega

    hasraton ke KHushk patton ko uDa le jaega

    dudhiya aakash mein kis ko sada deta hai tu

    tere mazi ka parinda ab na wapas aaega

    chhoTi chhoTi KHwahishon ka qatl hote dekh kar

    umr ka ehsas ruKH par gard ban ke chhaega

    waqt us se chhin lega KHud-pasandi ka ghurur

    han yaqinan wo KHuda ban kar bahut pachhtaega

    wo hai sar-ta-pa mujassam ek francisi sharab

    nashsha ban kar jism us ka zehn par bhi chhaega

    KHwahishon ke jangalon mein lazzaton ke peD hain

    jin ke sae mein musafir der tak sustaega

    aap apni aag mein hum hath tapenge 'adib'

    jab december sath apne barf-bari laega

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 470)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now