sara-e-bud mein bahta hun Dhalta jata hun
sarā-e-būd meñ bahtā huuñ Dhaltā jaatā huuñ
koī bulātā nahīñ aur maiñ chaltā jaatā huuñ
abhī vahīñ kā vahīñ huuñ badan kī ghaaT pe maiñ
hazār paanī pe paanī badaltā jaatā huuñ
bahut rukī huī shāmoñ meñ chal rahā huuñ kahīñ
bahut bujhe hue logoñ meñ jaltā jaatā huuñ
hijāb āb-o-havā se haTā sakūñ shāyad
maiñ dast-o-pā pe jo miTTī sī maltā jaatā huuñ
abhī maiñ Thiik kahīñ bhī bapā nahīñ hotā
so vahshateñ hī nibhātā huuñ Taltā jaatā huuñ
koī makāñ hai jo be-daḳhl kar rahā hai mujhe
koī galī hai ki jis se nikaltā jaatā huuñ
ye ḳhvāb dekhne vāloñ kā qāfila hai so maiñ
isī ġhubār meñ chup-chāp chaltā jaatā huuñ
sara-e-bud mein bahta hun Dhalta jata hun
koi bulata nahin aur main chalta jata hun
abhi wahin ka wahin hun badan ki ghaT pe main
hazar pani pe pani badalta jata hun
bahut ruki hui shamon mein chal raha hun kahin
bahut bujhe hue logon mein jalta jata hun
hijab aab-o-hawa se haTa sakun shayad
main dast-o-pa pe jo miTTi si malta jata hun
abhi main Thik kahin bhi bapa nahin hota
so wahshaten hi nibhata hun Talta jata hun
koi makan hai jo be-daKHl kar raha hai mujhe
koi gali hai ki jis se nikalta jata hun
ye KHwab dekhne walon ka qafila hai so main
isi ghubar mein chup-chap chalta jata hun
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 107)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.