sara ki umr kya hai ham-sara kitna purana hai
sarā kī 'umr kyā hai ham-sarā kitnā purānā hai
purānā 'ishq kyā kuchh thā nayā kitnā purānā hai
koī itnā purānā hai kahāñ tasvīr-e-'ālam meñ
kise pūchheñ ye sab achchhā-burā kitnā purānā hai
hameñ to āte-jāte hī milā hai jab bhī dekhā hai
ye rozāna kā jhoñkā kyā pata kitnā purānā hai
ye andāza badan ko hogā yā phir ruuh ko hogā
qabā ko kyā pata band-e-qabā kitnā purānā hai
zamīñ uupar uThī thī yā falak nīche ḳhud aaya thā
udāsī kā vo pahlā tajraba kitnā purānā hai
hamārī 'aks-bandī ho chukī thī tab ham aa.e the
ab aage kyā batā.eñ aa.ina kitnā purānā hai
kabhī chakkhā piyāle kā ye paanī kyā hai miTTī kyā
kabhī sochā ki ye dast-e-du'ā kitnā purānā hai
sara ki 'umr kya hai ham-sara kitna purana hai
purana 'ishq kya kuchh tha naya kitna purana hai
koi itna purana hai kahan taswir-e-'alam mein
kise puchhen ye sab achchha-bura kitna purana hai
hamein to aate-jate hi mila hai jab bhi dekha hai
ye rozana ka jhonka kya pata kitna purana hai
ye andaza badan ko hoga ya phir ruh ko hoga
qaba ko kya pata band-e-qaba kitna purana hai
zamin upar uThi thi ya falak niche KHud aaya tha
udasi ka wo pahla tajraba kitna purana hai
hamari 'aks-bandi ho chuki thi tab hum aae the
ab aage kya bataen aaina kitna purana hai
kabhi chakkha piyale ka ye pani kya hai miTTi kya
kabhi socha ki ye dast-e-du'a kitna purana hai
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 96)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.