Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sarab dekhta hun main ki aab dekhta hun main

Mahir Abdul Hayee

sarab dekhta hun main ki aab dekhta hun main

Mahir Abdul Hayee

MORE BYMahir Abdul Hayee

    sarāb dekhtā huuñ maiñ ki aab dekhtā huuñ maiñ

    samajh meñ jo na aa sake vo ḳhvāb dekhtā huuñ maiñ

    lahūñ meñ tairtī hai koī shai tirī umiid

    ugā huā shafaq meñ āftāb dekhtā huuñ maiñ

    mirī nazar ke sāmne hai aa.ina rakkhā huā

    tirī nazar husn-e-intiḳhāb dekhtā huuñ maiñ

    ye kis maqām par hai aaj raḳhsh-e-fikr-o-āgahī

    ki jibra.īl ko bhī ham-rikāb dekhtā huuñ maiñ

    ye koī nazr to nahīñ nigāh dil navāz

    khilā huā jo dil meñ ik gulāb dekhtā huuñ maiñ

    kisī dāman-e-talab kushāda is qadar nahīñ

    tirī atā ko be-had-o-hisāb dekhtā huuñ maiñ

    samajh sakegā kaun ai ḳhudā tirī kitāb ko

    badal gayā hai sab sab nisāb dekhtā huuñ maiñ

    abhī to sun rahā huuñ maiñ gaḌhī huī kahāniyāñ

    khulegā kab haqīqatoñ baab dekhtā huuñ maiñ

    dil-o-nazar raushnī hai jis ke harf harf meñ

    rakhī huī vo taaq par kitāb dekhtā huuñ maiñ

    jo khelne meñ tez thā navāb ho gayā hai vo

    paḌhe likhe ko ḳhasta-o-ḳharāb dekhtā huuñ maiñ

    vo hoshiyār aadmī ki jāgtā hai raat din

    kabhī kabhī use bhī mast-e-ḳhvāb dekhtā huuñ maiñ

    jo 'māhir'-e-alam-zada ke lab pe aa ga.ī hañsī

    khā rahā hai koī pech-o-tāb dekhtā huuñ maiñ

    sarab dekhta hun main ki aab dekhta hun main

    samajh mein jo na aa sake wo KHwab dekhta hun main

    lahun mein tairti hai koi shai teri umid si

    uga hua shafaq mein aaftab dekhta hun main

    meri nazar ke samne hai aaina rakkha hua

    teri nazar ka husn-e-intiKHab dekhta hun main

    ye kis maqam par hai aaj raKHsh-e-fikr-o-agahi

    ki jibrail ko bhi ham-rikab dekhta hun main

    ye koi nazr to nahin nigah dil nawaz ki

    khila hua jo dil mein ek gulab dekhta hun main

    kisi ka daman-e-talab kushada is qadar nahin

    teri ata ko be-had-o-hisab dekhta hun main

    samajh sakega kaun ai KHuda teri kitab ko

    badal gaya hai sab ka sab nisab dekhta hun main

    abhi to sun raha hun main gaDhi hui kahaniyan

    khulega kab haqiqaton ka bab dekhta hun main

    dil-o-nazar ki raushni hai jis ke harf harf mein

    rakhi hui wo taq par kitab dekhta hun main

    jo khelne mein tez tha nawab ho gaya hai wo

    paDhe likhe ko KHasta-o-KHarab dekhta hun main

    wo hoshiyar aadmi ki jagta hai raat din

    kabhi kabhi use bhi mast-e-KHwab dekhta hun main

    jo 'mahir'-e-alam-zada ke lab pe aa gai hansi

    tu kha raha hai koi pech-o-tab dekhta hun main

    Source:

    Hari Sonahri Khak (Ghazal) (Pg. 81)

    • Author: Mahir Abdul Hayee
      • Edition: 2008
      • Publisher: Bazme-e-Urdu,Mau
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now