sard hawaen bhige raste main aur tu
sard havā.eñ bhīge raste maiñ aur tū
ghuum rahe haiñ hañste hañste maiñ aur tū
tere mere haath se patthar chhūT ga.e
baañT rahe haiñ ab gul-daste maiñ aur tū
tū bhī saada ai dil maiñ bhī saada huuñ
kore kāġhaz ke haiñ daste maiñ aur tū
tū vaañ ḳhush hai maiñ yaañ ḳhush huuñ che-mā'nī
kaash ik ghar meñ hañste baste maiñ aur tū
pūchhā jo 'ashfāq' ne 'āshiq kitne haiñ
majnūñ bolā hañste hañste maiñ aur tū
sard hawaen bhige raste main aur tu
ghum rahe hain hanste hanste main aur tu
tere mere hath se patthar chhuT gae
banT rahe hain ab gul-daste main aur tu
tu bhi sada ai dil main bhi sada hun
kore kaghaz ke hain daste main aur tu
tu wan KHush hai main yan KHush hun che-ma'ni
kash ek ghar mein hanste baste main aur tu
puchha jo 'ashfaq' ne 'ashiq kitne hain
majnun bola hanste hanste main aur tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.