sard mausam tha bahut soz-e-alam se pahle
sard mausam thā bahut soz-e-alam se pahle
ziist dilchasp kahāñ thī shab-e-ġham se pahle
aaj jiine kā samajhte haiñ sahārā is ko
ham ki vāqif bhī na the shām-e-alam se pahle
zindagī itnī hasīñ aur dil-āvez na thī
ai mohabbat tire altāf-o-karam se pahle
chal paḌe log to phir koī bhī khaTkā na rahā
manzileñ saḳht thiiñ bas pahle qadam se pahle
fikr-e-āzar ko du'ā do ki kiyā husn talāsh
pāra-e-sang meñ taḳhlīq-e-sanam se pahle
apnī kotāhī-e-dāman ko bhī arbāb-e-talab
dekhte vus’at-e-dāmān-karam se pahle
sar pe saaya thā buzurgoñ kā to sūraj bhī 'aqīl'
itnā barham na rahā kartā thā ham se pahle
sard mausam tha bahut soz-e-alam se pahle
zist dilchasp kahan thi shab-e-gham se pahle
aaj jine ka samajhte hain sahaara is ko
hum ki waqif bhi na the sham-e-alam se pahle
zindagi itni hasin aur dil-awez na thi
ai mohabbat tere altaf-o-karam se pahle
chal paDe log to phir koi bhi khaTka na raha
manzilen saKHt thin bas pahle qadam se pahle
fikr-e-azar ko du'a do ki kiya husn talash
para-e-sang mein taKHliq-e-sanam se pahle
apni kotahi-e-daman ko bhi arbab-e-talab
dekhte wus’at-e-daman-karam se pahle
sar pe saya tha buzurgon ka to suraj bhi 'aqil'
itna barham na raha karta tha hum se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.