sard raaton mein tamazat ka sabab puchhti hai
sard rātoñ meñ tamāzat kā sabab pūchhtī hai
tīrgī hai ki karāmat kā sabab pūchhtī hai
maiñ añdheroñ kī siyāsat meñ mulavvis bhī na thā
raushnī mujh se baġhāvat kā sabab pūchhtī hai
shahr ab māñgtā hai saañs bhī lene kā hisāb
zindagī mujh se qayāmat kā sabab pūchhtī hai
maiñ to Duubā thā kahīñ aur ubharne ke liye
mujh se har mauj 'ināyat kā sabab pūchhtī hai
sard raaton mein tamazat ka sabab puchhti hai
tirgi hai ki karamat ka sabab puchhti hai
main andheron ki siyasat mein mulawwis bhi na tha
raushni mujh se baghawat ka sabab puchhti hai
shahr ab mangta hai sans bhi lene ka hisab
zindagi mujh se qayamat ka sabab puchhti hai
main to Duba tha kahin aur ubharne ke liye
mujh se har mauj 'inayat ka sabab puchhti hai
- Book : Ishq (Pg. 117)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.