Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sata rahi hai bahut machhliyon ki bas mujhe

Ehtisham Akhtar

sata rahi hai bahut machhliyon ki bas mujhe

Ehtisham Akhtar

MORE BYEhtisham Akhtar

    satā rahī hai bahut machhliyoñ baas mujhe

    bulā rahā hai samundar phir apne paas mujhe

    havas shīsha-e-nāzuk huuñ phuuT jā.ūñgā

    na maar khīñch ke is tarah sañg-e-yās mujhe

    maiñ qaid meñ kabhī dīvār-o-dar rah na sakā

    na aa sakā kabhī shahroñ rañg raas mujhe

    maiñ tere jism ke dariyā ko chukā huuñ bahut

    satā rahī hai phir ab kyuuñ badan pyaas mujhe

    mire badan meñ chhupā hai samundaroñ fusūñ

    jalā sakegī bhalā kyā ye ḳhushk ghaas mujhe

    giregā TuuT ke sar par ye āsmān kabhī

    Darā.e rakhtā hai har dam mirā qayās mujhe

    jhulas rahā huuñ maiñ sadiyoñ se ġham ke sahrā meñ

    magar hai abr-e-gurezāñ phir bhī aas mujhe

    sata rahi hai bahut machhliyon ki bas mujhe

    bula raha hai samundar phir apne pas mujhe

    hawas ka shisha-e-nazuk hun phuT jaunga

    na mar khinch ke is tarah sang-e-yas mujhe

    main qaid mein kabhi diwar-o-dar ki rah na saka

    na aa saka kabhi shahron ka rang ras mujhe

    main tere jism ke dariya ko pi chuka hun bahut

    sata rahi hai phir ab kyun badan ki pyas mujhe

    mere badan mein chhupa hai samundaron ka fusun

    jala sakegi bhala kya ye KHushk ghas mujhe

    girega TuT ke sar par ye aasman kabhi

    Darae rakhta hai har dam mera qayas mujhe

    jhulas raha hun main sadiyon se gham ke sahra mein

    magar hai abr-e-gurezan ki phir bhi aas mujhe

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-063) (Pg. ebook-56 page-52)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now