Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shadmani ka kabhi gham ka kabhi josh raha

Betab Azimabadi

shadmani ka kabhi gham ka kabhi josh raha

Betab Azimabadi

MORE BYBetab Azimabadi

    shādmānī kabhī ġham kabhī josh rahā

    ek saudā rahā jab tak ki mujhe hosh rahā

    juz tirī yaad ke sab dil se farāmosh rahā

    marte marte dīvāne ko ye hosh rahā

    ruḳh-e-pur-nūr se bas un ulaTnā thā naqāb

    kaun kambaḳht thā aisā ki jise hosh rahā

    ye bhī ehsāñ hai jo us ne na diyā koī javāb

    shauq-e-ummīd haamī lab-e-ḳhāmosh rahā

    be-dhaḌak sāmne mahshar vo aana terā

    dekh lenā jo kisī ek ko bhī hosh rahā

    kis se fariyād-e-sitam karte milā jab ki na

    milā jab to sitam terā farāmosh rahā

    rāz-e-sar-basta-e-mai-ḳhāna na khulne paayā

    āshnā-e-lab-e-sāġhar lab-e-mai-nosh rahā

    dard rah rah ke mire dil meñ uThā kartā hai

    terā ehsāñ ki tujhe maiñ na farāmosh rahā

    bār-e-ehsāñ hai mire sar pe tirā o qātil

    sar judā hone pe bhī maiñ na subuk-dosh rahā

    dard uThte taḌapne lagānā mahram-e-rāz

    jo adā se tirī vāqif thā vo ḳhāmosh rahā

    kyā kahūñ maut ne kis raaz aa ke ḳhabar

    baat kuchh thī vo aisī ki maiñ ḳhāmosh rahā

    jaan 'betāb' āḳhir shab-e-tanhā.ī ne

    kahāñ shaam se o va.ada-farāmosh rahā

    shadmani ka kabhi gham ka kabhi josh raha

    ek sauda raha jab tak ki mujhe hosh raha

    juz teri yaad ke sab dil se faramosh raha

    marte marte diwane ko ye hosh raha

    ruKH-e-pur-nur se bas un ka ulaTna tha naqab

    kaun kambaKHt tha aisa ki jise hosh raha

    ye bhi ehsan hai jo us ne na diya koi jawab

    shauq-e-ummid ka hami lab-e-KHamosh raha

    be-dhaDak samne mahshar ki wo aana tera

    dekh lena jo kisi ek ko bhi hosh raha

    kis se fariyaad-e-sitam karte mila jab ki na tu

    tu mila jab to sitam tera faramosh raha

    raaz-e-sar-basta-e-mai-KHana na khulne paya

    aashna-e-lab-e-saghar lab-e-mai-nosh raha

    dard rah rah ke mere dil mein uTha karta hai

    tera ehsan ki tujhe main na faramosh raha

    bar-e-ehsan hai mere sar pe tera o qatil

    sar juda hone pe bhi main na subuk-dosh raha

    dard uThte hi taDapne lagana mahram-e-raaz

    jo ada se teri waqif tha wo KHamosh raha

    kya kahun maut ne kis raaz ki di aa ke KHabar

    baat hi kuchh thi wo aisi ki main KHamosh raha

    jaan 'betab' ki aaKHir shab-e-tanhai ne li

    tu kahan sham se o wada-faramosh raha

    Source:

    Kalam-e-Betab (Pg. 35)

      • Publisher: Bazm-e-Shad, Patna
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now