shah-surKHi mein kisi roz jo pata hai mujhe
shāh-surḳhī meñ kisī roz jo paatā hai mujhe
vo na us din kā phir aḳhbār dikhātā hai mujhe
huuñ 'adad aur 'adad zarb dilātā hai mujhe
hindsa mujh sā hī taqsīm karātā hai mujhe
yaad aa jaatā hai vo shāḳh pe har dam khilnā
ghar ke guldān meñ jab koī sajātā hai mujhe
jis jagah aa ke har ik rāsta kho jaatā hai
hausla merā vahāñ raah dikhātā hai mujhe
itnā mashshāq huā aaj vo apne fan meñ
āñkhoñ āñkhoñ hī meñ vo mujh se churātā hai mujhe
qaul-e-zarrīñ huuñ likhā shahr kī dīvāroñ par
jo bhī aatā hai vo paḌhtā huā jaatā hai mujhe
yuuñ to aate haiñ mirī samt hazāroñ patthar
chūmtā huuñ use jo zaḳhm lagātā hai mujhe
haañ bikhar jaatā huuñ TuuTe hue shīshe kī tarah
jab bhī nā-qadr koī haath lagātā hai mujhe
naqsh-e-an-miT huuñ maiñ tārīḳh uThā kar dekho
ḳhud hī miT jaatā hai jo koī miTātā hai mujhe
maiñ balāoñ meñ ghirā rahtā huuñ 'rā'nā' lekin
bas ḳhudā hai jo har aafat se bachātā hai mujhe
shah-surKHi mein kisi roz jo pata hai mujhe
wo na us din ka phir aKHbar dikhata hai mujhe
hun 'adad aur 'adad zarb dilata hai mujhe
hindsa mujh sa hi taqsim karaata hai mujhe
yaad aa jata hai wo shaKH pe har dam khilna
ghar ke guldan mein jab koi sajata hai mujhe
jis jagah aa ke har ek rasta kho jata hai
hausla mera wahan rah dikhata hai mujhe
itna mashshaq hua aaj wo apne fan mein
aankhon aankhon hi mein wo mujh se churaata hai mujhe
qaul-e-zarrin hun likha shahr ki diwaron par
jo bhi aata hai wo paDhta hua jata hai mujhe
yun to aate hain meri samt hazaron patthar
chumta hun use jo zaKHm lagata hai mujhe
han bikhar jata hun TuTe hue shishe ki tarah
jab bhi na-qadr koi hath lagata hai mujhe
naqsh-e-an-miT hun main tariKH uTha kar dekho
KHud hi miT jata hai jo koi miTata hai mujhe
main balaon mein ghira rahta hun 'ra'na' lekin
bas KHuda hai jo har aafat se bachata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.