Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sham kajlai hui raat abhagan jaisi

Ishrat Qadri

sham kajlai hui raat abhagan jaisi

Ishrat Qadri

MORE BYIshrat Qadri

    shaam kajlā.ī huī raat abhāgan jaisī

    rut nahīñ aatī kisī gaañv meñ sāvan jaisī

    rañg Tesū meñ khile haiñ tirī chunarī tarah

    ban meñ phūloñ mahak hai tire āñgan jaisī

    us āvāz meñ hai saat suroñ sañgīt

    baat bhī vo kare to bajtī hai jhāñjhan jaisī

    raat vaishyā laakh āñkhoñ meñ kājal paare

    sub.h maañg apnī sajā.egī suhāgan jaisī

    ek pal bichhḌeñ to lagtā hai yugoñ ban-bās

    aur jab tak na mileñ rahtī hai uljhan jaisī

    alag rūThī huī hai vo alag rūThā huā

    gorī kis baat pe sājan se hai an-ban jaisī

    aañch lagtī hai pahlū meñ tirī sāñsoñ

    ghaav par ThanDī havā hai tire dāman jaisī

    mirī āñkhoñ meñ dil-āvez samāñ hai 'ishrat'

    phūloñ par os har buuñd hai darpan jaisī

    sham kajlai hui raat abhagan jaisi

    rut nahin aati kisi ganw mein sawan jaisi

    rang Tesu mein khile hain teri chunari ki tarah

    ban mein phulon ki mahak hai tere aangan jaisi

    us ki aawaz mein hai sat suron ka sangit

    baat bhi wo kare to bajti hai jhanjhan jaisi

    raat ki waishya lakh aankhon mein kajal pare

    subh mang apni sajaegi suhagan jaisi

    ek pal bichhDen to lagta hai yugon ka ban-bas

    aur jab tak na milen rahti hai uljhan jaisi

    tu alag ruThi hui hai wo alag ruTha hua

    gori kis baat pe sajan se hai an-ban jaisi

    aanch si lagti hai pahlu mein teri sanson ki

    ghaw par ThanDi hawa hai tere daman jaisi

    meri aankhon mein dil-awez saman hai 'ishrat'

    phulon par os ki har bund hai darpan jaisi

    Source:

    Aasman Saiyban (Poetry) (Pg. 54)

    • Author: Ishrat Qadri
      • Edition: 2010
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now