sham ke gesu phaile hue the mahke mahke sae the
shaam ke gesū phaile hue the mahke mahke saa.e the
ham sadiyoñ ke jaage hue the ḳhvāb meñ chal kar aa.e the
shaam ke pichhle zamīnoñ se jab sūraj utrā ghāTī meñ
tanhā.ī ke baḌhte saa.e zahr kā pyāla laa.e the
TuuTe hue ḳhvāboñ kī kircheñ āñkhoñ meñ chubhtī hī rahīñ
haath havā ke poñchhte yuuñ to mere aañsū aa.e the
ġham kī khetī suukh rahī thī dil kī dhartī banjar thī
chhāgal chhāgal aañsū le kar tar karne vo aa.e the
baiThe hue kuchh soch rahe the gaañv ke pīpal ke nīche
bujhtā huā sūraj thā ham the Dhaltī shaam ke saa.e the
bārish kī ik buuñd ko tarsā sahrā dil kā ab ke 'nafīs'
kahne ko to pyaar ke bādal chāroñ taraf hī chhā.e the
sham ke gesu phaile hue the mahke mahke sae the
hum sadiyon ke jage hue the KHwab mein chal kar aae the
sham ke pichhle zaminon se jab suraj utra ghaTi mein
tanhai ke baDhte sae zahr ka pyala lae the
TuTe hue KHwabon ki kirchen aankhon mein chubhti hi rahin
hath hawa ke ponchhte yun to mere aansu aae the
gham ki kheti sukh rahi thi dil ki dharti banjar thi
chhagal chhagal aansu le kar tar karne wo aae the
baiThe hue kuchh soch rahe the ganw ke pipal ke niche
bujhta hua suraj tha hum the Dhalti sham ke sae the
barish ki ek bund ko tarsa sahra dil ka ab ke 'nafis'
kahne ko to pyar ke baadal chaaron taraf hi chhae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.