shayad apne sath phir mera guzara ho sake
shāyad apne saath phir merā guzāra ho sake
muntaqil mujh meñ agar vo shaḳhs saarā ho sake
aane vāloñ kī jagah bhī 'ishq kar jaa.eñ ki yuuñ
hijr agle mausamoñ kā bhī hamārā ho sake
maiñ kanār-e-shām baiThā muntazir huuñ aaj bhī
tere jaisī raushnī shāyad dobāra ho sake
yuuñ na ho maiñ apnī gahrā.ī meñ gum kar duuñ tujhe
jā kināra kar agar mujh se kināra ho sake
aao mil kar āsmāñ kī samt dekheñ is tarah
jo sitāra thā kabhī vo phir sitāra ho sake
darmiyāñ ke sab zamāne ham guzār aa.e ki yuuñ
ek sā 'ālam hamārā aur tumhārā ho sake
shayad apne sath phir mera guzara ho sake
muntaqil mujh mein agar wo shaKHs sara ho sake
aane walon ki jagah bhi 'ishq kar jaen ki yun
hijr agle mausamon ka bhi hamara ho sake
main kanar-e-sham baiTha muntazir hun aaj bhi
tere jaisi raushni shayad dobara ho sake
yun na ho main apni gahrai mein gum kar dun tujhe
ja kinara kar agar mujh se kinara ho sake
aao mil kar aasman ki samt dekhen is tarah
jo sitara tha kabhi wo phir sitara ho sake
darmiyan ke sab zamane hum guzar aae ki yun
ek sa 'alam hamara aur tumhaara ho sake
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 45)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.