shayad jhulas raha hai gul-e-pairahan abhi
shāyad jhulas rahā hai gul-e-pairahan abhī
mahsūs ho rahī hai havā meñ ghuTan abhī
Takrā gayā thā raah meñ jo ahl-e-fan abhī
chhū kar maiñ aa rahā huuñ usī ke charan abhī
madfan ġhamoñ kā dil ko banāyā to hai magar
badlā nahīñ hai aap kā tarz-e-suḳhan abhī
shāyad ki bhūlā sub.h kā ghar aa.e lauT kar
karte haiñ intizār kisī ke nayan abhī
Dar hai ki jazb ho na kahīñ dil kī raushnī
shām-e-siyah se maañg lī ġham kī kiran abhī
dār-o-rasan se aaj bhī aatī hai ye sadā
barq-e-sitam kī zad meñ hai saarā chaman abhī
'irfāñ' ke dil ko aap ne dekhā to hai magar
dekhā nahīñ hai aap ne dīvāna-pan abhī
shayad jhulas raha hai gul-e-pairahan abhi
mahsus ho rahi hai hawa mein ghuTan abhi
Takra gaya tha rah mein jo ahl-e-fan abhi
chhu kar main aa raha hun usi ke charan abhi
madfan ghamon ka dil ko banaya to hai magar
badla nahin hai aap ka tarz-e-suKHan abhi
shayad ki bhula subh ka ghar aae lauT kar
karte hain intizar kisi ke nayan abhi
Dar hai ki jazb ho na kahin dil ki raushni
sham-e-siyah se mang li gham ki kiran abhi
dar-o-rasan se aaj bhi aati hai ye sada
barq-e-sitam ki zad mein hai sara chaman abhi
'irfan' ke dil ko aap ne dekha to hai magar
dekha nahin hai aap ne diwana-pan abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.