shab-e-tarik mein paida sahar karna bhi aata hai
shab-e-tārīk meñ paidā sahar karnā bhī aatā hai
hameñ dāġh-e-jigar ko jalva-gar karnā bhī aatā hai
badal jaatī haiñ jab ham se nigāheñ shādmānī kī
hameñ nā-shādmānī meñ basar karnā bhī aatā hai
tarab kī shāh-rāheñ band ho jaatī haiñ jab ham par
sar-e-rāh-e-alam chal kar safar karnā bhī aatā hai
ġhubār-e-kārvāñ—barsar haiñ rāhoñ meñ magar ham ko
ġhurūr-e-ham-rahāñ ko pai-sipar karnā bhī aatā hai
bachāte haiñ nigāheñ ḳhaak ke zarroñ se bhī lekin
hameñ aflāk par naqd-o-nazar karnā bhī aatā hai
jo din kaTte nahīñ taqdīr ke zer-e-asar ham se
unheñ tadbīr ke zer-e-asar karnā bhī aatā hai
sujūd-e-bandagī kī nā-pazīrā.ī kī ġhairat se
jabīn-e-shauq ko bezār-e-dar karnā bhī aatā hai
ġhurūr-e-chāra-gar jab dard kī had se guzar jaa.e
hameñ itlāq-e-darmāñ dard par karnā bhī aatā hai
zamāne ke buland-o-past ke narġhe meñ haiñ lekin
zamāne ko hameñ zer-o-zabar karnā bhī aatā hai
nazar ko Thokaroñ meñ rakhne vaalo jalva-gāhoñ meñ
hameñ jalvoñ ko pāmāl-e-nazar karnā bhī aatā hai
milā kar apnī qismat ke sitāre ḳhaak meñ 'bismil'
hameñ zarroñ ko ḳhurshīd-o-qamar karnā bhī aatā hai
shab-e-tarik mein paida sahar karna bhi aata hai
hamein dagh-e-jigar ko jalwa-gar karna bhi aata hai
badal jati hain jab hum se nigahen shadmani ki
hamein na-shadmani mein basar karna bhi aata hai
tarab ki shah-rahen band ho jati hain jab hum par
sar-e-rah-e-alam chal kar safar karna bhi aata hai
ghubar-e-karwan—barsar hain rahon mein magar hum ko
ghurur-e-ham-rahan ko pai-sipar karna bhi aata hai
bachate hain nigahen KHak ke zarron se bhi lekin
hamein aflak par naqd-o-nazar karna bhi aata hai
jo din kaTte nahin taqdir ke zer-e-asar hum se
unhen tadbir ke zer-e-asar karna bhi aata hai
sujud-e-bandagi ki na-pazirai ki ghairat se
jabin-e-shauq ko bezar-e-dar karna bhi aata hai
ghurur-e-chaara-gar jab dard ki had se guzar jae
hamein itlaq-e-darman dard par karna bhi aata hai
zamane ke buland-o-past ke narghe mein hain lekin
zamane ko hamein zer-o-zabar karna bhi aata hai
nazar ko Thokaron mein rakhne walo jalwa-gahon mein
hamein jalwon ko pamal-e-nazar karna bhi aata hai
mila kar apni qismat ke sitare KHak mein 'bismil'
hamein zarron ko KHurshid-o-qamar karna bhi aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.