Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab thi nazar mein sham se pahle

Behzad Lakhnavi

shab thi nazar mein sham se pahle

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    shab thī nazar meñ shaam se pahle

    vāqif thā anjām se pahle

    rahbar manzil ban jaatī hai

    yaad tirī har gaam se pahle

    merā fasāna sunñe vaalo

    kuchh bhī nahīñ us naam se pahle

    hosh to ab hai allāh allāh

    hosh kahāñ thā jaam se pahle

    kyā hai yahī in’ām-e-mohabbat

    soch to lo ilzām se pahle

    aate jaane kyā sūjhī

    baiTho to ārām se pahle

    ye to na thā 'bahzād' 'ālam

    'ishq ke is in'ām se pahle

    shab thi nazar mein sham se pahle

    waqif tha anjam se pahle

    rahbar manzil ban jati hai

    yaad teri har gam se pahle

    mera fasana sunne walo

    kuchh bhi nahin us nam se pahle

    hosh to ab hai allah allah

    hosh kahan tha jam se pahle

    kya hai yahi in’am-e-mohabbat

    soch to lo ilzam se pahle

    aate hi jaane ki kya sujhi

    baiTho to aaram se pahle

    ye to na tha 'bahzad' ka 'alam

    'ishq ke is in'am se pahle

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now