shabab-e-nau-damida par fida hone ka waqt aaya
shabāb-e-nau-damīda par fidā hone kā vaqt aaya
ḳhudā ke naam se nā-āshnā hone kā vaqt aaya
tirī zulfoñ ke saaya se judā hone kā vaqt aaya
phir apne baḳht par mātam-sarā hone kā vaqt aaya
asīrān-e-qafas naġhma-sarā hone kā vaqt aaya
vo maut aa.ī vo hastī se rihā hone kā vaqt aaya
naved-e-vasl denā vo mujhe palkoñ ke saaye meñ
do 'ālam kī hadoñ se māvarā hone kā vaqt aaya
qadam kuchh ukhḌe ukhḌe se nazar kuchh bahkī bahkī sī
shabāb aaya hai yā mahshar bapā hone kā vaqt aaya
mire pahlū meñ vo añgḌā.ī le kar kasmasā uTThe
sarāpā dil sarāsar mudda'ā hone kā vaqt aaya
masīhā sar jhukā kar uTh gayā 'bismil' kī bālīñ se
ḳhudā-hāfiz ki ab mahv-e-du’ā hone kā vaqt aaya
shabab-e-nau-damida par fida hone ka waqt aaya
KHuda ke nam se na-ashna hone ka waqt aaya
teri zulfon ke saya se juda hone ka waqt aaya
phir apne baKHt par matam-sara hone ka waqt aaya
asiran-e-qafas naghma-sara hone ka waqt aaya
wo maut aai wo hasti se riha hone ka waqt aaya
nawed-e-wasl dena wo mujhe palkon ke saye mein
do 'alam ki hadon se mawara hone ka waqt aaya
qadam kuchh ukhDe ukhDe se nazar kuchh bahki bahki si
shabab aaya hai ya mahshar bapa hone ka waqt aaya
mere pahlu mein wo angDai le kar kasmasa uTThe
sarapa dil sarasar mudda'a hone ka waqt aaya
masiha sar jhuka kar uTh gaya 'bismil' ki baalin se
KHuda-hafiz ki ab mahw-e-du’a hone ka waqt aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.