Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-dar-shahr usi aag ka Dar hota hai

Shahid Anwar

shahr-dar-shahr usi aag ka Dar hota hai

Shahid Anwar

MORE BYShahid Anwar

    shahr-dar-shahr usī aag Dar hotā hai

    jis sharāre tire lab se guzar hotā hai

    talḳhiyāñ dauḌtī phirtī haiñ lahū meñ jin ke

    aisī nazroñ meñ kahāñ husn-e-nazar hotā hai

    zāviye fikr ke andāz-e-bayāñ jaadū

    ham-kalāmī adā ek hunar hotā hai

    bazm-ārā.ī se āñkhoñ meñ kaTī haiñ rāteñ

    ik na.ī sub.h āġhāz magar hotā hai

    chāñd āñgan meñ utar aaya hai ġhamgīñ ho kar

    niiñd par bār-e-garāñ pichhlā pahar hotā hai

    qāfile jab bhī chale haiñ to gumāñ par chale

    aur manzil ke yaqīñ par safar hotā hai

    uljhaneñ DhūñDhtī rahtī haiñ sabab uljhan

    zehn-e-insān se kis kis guzar hotā hai

    vo filistīn ho baġhdād bastī koī

    rāzdāñ sab yahāñ āb-e-ḳhizar hotā hai

    roz kyoñ qatl huā kartā hai ḳhurshīd yahāñ

    roz kyoñ chaak garebān-e-sahar hotā hai

    maiñ rivāyāt se mahfūz huuñ kyoñ ki shāhid

    Thahre paanī meñ kahāñ koī bhañvar hotā hai

    shahr-dar-shahr usi aag ka Dar hota hai

    jis sharare ka tere lab se guzar hota hai

    talKHiyan dauDti phirti hain lahu mein jin ke

    aisi nazron mein kahan husn-e-nazar hota hai

    zawiye fikr ke andaz-e-bayan ka jadu

    ham-kalami ki ada ek hunar hota hai

    bazm-arai se aankhon mein kaTi hain raaten

    ek nai subh ka aaghaz magar hota hai

    chand aangan mein utar aaya hai ghamgin ho kar

    nind par bar-e-garan pichhla pahar hota hai

    qafile jab bhi chale hain to guman par hi chale

    aur manzil ke yaqin par hi safar hota hai

    uljhanen DhunDhti rahti hain sabab uljhan ka

    zehn-e-insan se kis kis ka guzar hota hai

    wo filistin ho baghdad ya basti koi

    raazdan sab ka yahan aab-e-KHizar hota hai

    roz kyon qatl hua karta hai KHurshid yahan

    roz kyon chaak gareban-e-sahar hota hai

    main riwayat se mahfuz hun kyon ki shahid

    Thahre pani mein kahan koi bhanwar hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now