shahr-e-ashob mein ulfat ki zaban bolti hun
shahr-e-āshob meñ ulfat kī zabāñ boltī huuñ
par jahāñ bolnā hotā hai vahāñ boltī huuñ
tū ne dekhī hai abhī lab pe mire mohr-e-sukūt
tū ne dekhā hī kahāñ jab mirī jaañ boltī huuñ
nutq baḳhshā hai mujhe rab ne 'atā himmat kī
chāhe zālim pe bahut guzre girāñ boltī huuñ
merī ḳhāmoshī pe jab jashn manāne lage vo
phir bhalā chup kahāñ rahtī hai zabāñ boltī huuñ
kaam jab ‘ishva-tarāzī kī zabāñ aatī nahīñ
sang pighlāne ko ashkoñ kī zabāñ boltī huuñ
aañkh se aañkh ho jab mahv-e-takallum 'nasrīn'
phir zabāñ khultī kahāñ hai maiñ kahāñ boltī huuñ
shahr-e-ashob mein ulfat ki zaban bolti hun
par jahan bolna hota hai wahan bolti hun
tu ne dekhi hai abhi lab pe mere mohr-e-sukut
tu ne dekha hi kahan jab meri jaan bolti hun
nutq baKHsha hai mujhe rab ne 'ata himmat ki
chahe zalim pe bahut guzre giran bolti hun
meri KHamoshi pe jab jashn manane lage wo
phir bhala chup kahan rahti hai zaban bolti hun
kaam jab ‘ishwa-taraazi ki zaban aati nahin
sang pighlane ko ashkon ki zaban bolti hun
aankh se aankh ho jab mahw-e-takallum 'nasrin'
phir zaban khulti kahan hai main kahan bolti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.