shahr ko dekh ke sahrai ka ehsas hua
shahr ko dekh ke sahrā.ī kā ehsās huā
par tire baa'd jo tanhā.ī kā ehsās huā
apne maañ baap kī daulat to uḌaa.ī thī bahut
ḳhud kamā.ī to har ik paa.ī kā ehsās huā
ham to bekār samajhte the samā'at apnī
tere ik bol se shunvā.ī kā ehsās huā
sab se nādān gine jaate the ham gaañv meñ
shahr-e-hijrat kī to dānā.ī kā ehsās huā
mashvara muft meñ detā hai fulāñ Thiik nahīñ
kyā kabhī tujh ko tire bhaa.ī kā ehsās huā
duur se mujh ko samundar to bahut chhoTā lagā
aur nazdīk se gahrā.ī kā ehsās huā
shahr ko dekh ke sahrai ka ehsas hua
par tere ba'd jo tanhai ka ehsas hua
apne man bap ki daulat to uDai thi bahut
KHud kamai to har ek pai ka ehsas hua
hum to bekar samajhte the sama'at apni
tere ek bol se shunwai ka ehsas hua
sab se nadan gine jate the hum ganw mein
shahr-e-hijrat ki to danai ka ehsas hua
mashwara muft mein deta hai fulan Thik nahin
kya kabhi tujh ko tere bhai ka ehsas hua
dur se mujh ko samundar to bahut chhoTa laga
aur nazdik se gahrai ka ehsas hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.