shahr-zad hain galiyon ki pahchan bhi rakhte hain
shahr-zād haiñ galiyoñ kī pahchān bhī rakhte haiñ
aur bhaTakte rahne par īmān bhī rakhte haiñ
rasta rasta ugne vaale ye ham-shakl daraḳht
dhuup meñ haiñ aur ham jaisoñ kā dhyān bhī rakhte haiñ
dūr-uftāda vīrānoñ par lahrāte bādal
ik dahlīz se kuchh 'ahd-o-paimān bhī rakhte haiñ
andeshoñ meñ jhulasne vaale diloñ ke ye dālān
ḳhvāboñ aur ḳhayāloñ ko mehmān bhī rakhte haiñ
raat kī raat chamakne vaale āsmān ke rang
dīvāroñ ko sadiyoñ tak hairān bhī rakhte haiñ
shahr-zad hain galiyon ki pahchan bhi rakhte hain
aur bhaTakte rahne par iman bhi rakhte hain
rasta rasta ugne wale ye ham-shakl daraKHt
dhup mein hain aur hum jaison ka dhyan bhi rakhte hain
dur-uftada viranon par lahraate baadal
ek dahliz se kuchh 'ahd-o-paiman bhi rakhte hain
andeshon mein jhulasne wale dilon ke ye dalan
KHwabon aur KHayalon ko mehman bhi rakhte hain
raat ki raat chamakne wale aasman ke rang
diwaron ko sadiyon tak hairan bhi rakhte hain
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 31)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.