shakl chhup jae to aawaz pe rakkha jae
shakl chhup jaa.e to āvāz pe rakkhā jaa.e
ik nishāna isī andāz pe rakkhā jaa.e
dil kī bastī se ujāle kā guzar ho ki na ho
ik diyā chehra-e-ġhammāz pe rakkhā jaa.e
bāziyāñ haar rahe haiñ to chalo yūñhī sahī
āḳhirī daao na.e baaz pe rakkhā jaa.e
ham ko manzūr hai ilzām-e-rivāyat-shikanī
ik nayā giit na.e saaz pe rakkhā jaa.e
ham se tahrīk-e-mohabbat to nahīñ ruk saktī
kyoñ na ilzām hī āġhāz pe rakkhā jaa.e
shakl chhup jae to aawaz pe rakkha jae
ek nishana isi andaz pe rakkha jae
dil ki basti se ujale ka guzar ho ki na ho
ek diya chehra-e-ghammaz pe rakkha jae
baziyan haar rahe hain to chalo yunhi sahi
aaKHiri dao nae baz pe rakkha jae
hum ko manzur hai ilzam-e-riwayat-shikani
ek naya git nae saz pe rakkha jae
hum se tahrik-e-mohabbat to nahin ruk sakti
kyon na ilzam hi aaghaz pe rakkha jae
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 69)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.