Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shama ne jaise raat sar ki hai

Yazdani Jalandhari

shama ne jaise raat sar ki hai

Yazdani Jalandhari

MORE BYYazdani Jalandhari

    sham.a ne jaise raat sar hai

    ham ne bhī is tarah sahar hai

    kū-e-qātil kahīñ kahīñ zindāñ

    koī sūrat kahāñ mafar hai

    apnī apnī salīb uThā ke chalo

    sūrat ab to yahī safar hai

    munsifo harf-e-ma.azarat kaisā

    har ḳhatā ham ne soch kar hai

    kitnī sadiyoñ dāstān-e-tavīl

    chand ashkoñ ne muḳhtasar hai

    shab afsāna bāñdhne vaalo

    ye bhī tamhīd ik sahar hai

    saañs ke qāfile ruk jaanā

    ibtidā ik na.e safar hai

    jaise sahrā meñ aan baiThe hoñ

    sūrat aisī kuchh apne ghar hai

    dushmanoñ to kuchh gila nahīñ

    baat yārān-e-mo'atabar hai

    matn kuchh aur surḳhiyāñ kuchh aur

    shakl bigḌī huī ḳhabar hai

    sach agar ik ḳhatā hai 'yazdānī'

    ye ḳhatā ham ne umr bhar hai

    shama ne jaise raat sar ki hai

    hum ne bhi is tarah sahar ki hai

    ku-e-qatil kahin kahin zindan

    koi surat kahan mafar ki hai

    apni apni salib uTha ke chalo

    surat ab to yahi safar ki hai

    munsifo harf-e-mazarat kaisa

    har KHata hum ne soch kar ki hai

    kitni sadiyon ki dastan-e-tawil

    chand ashkon ne muKHtasar ki hai

    shab ka afsana bandhne walo

    ye bhi tamhid ek sahar ki hai

    sans ke qafile ka ruk jaana

    ibtida ek nae safar ki hai

    jaise sahra mein aan baiThe hon

    surat aisi kuchh apne ghar ki hai

    dushmanon ka to kuchh gila hi nahin

    baat yaran-e-mo'atabar ki hai

    matn kuchh aur surKHiyan kuchh aur

    shakl bigDi hui KHabar ki hai

    sach agar ek KHata hai 'yazdani'

    ye KHata hum ne umr bhar ki hai

    Source:

    Muntakhab Ghazlein-1982 (Pg. 174)

      • Publisher: Zahid Malik
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now