sharīfe ke daraḳhtoñ meñ chhupā ghar dekh letā huuñ
maiñ āñkheñ band kar ke ghar ke andar dekh letā huuñ
udhar us paar kyā hai ye kabhī sochā nahīñ maiñ ne
magar maiñ roz khiḌkī se samundar dekh letā huuñ
saḌak pe chalte phirte dauḌte logoñ se uktā kar
kisī chhat par maze meñ baiThe bandar dekh letā huuñ
ye sach hai apnī qismat koī kaise dekh saktā hai
magar maiñ taash ke patte uThā kar dekh letā huuñ
galī-kūchoñ meñ chaurāhoñ pe yā bas kī qatāroñ meñ
maiñ us chup-chāp sī laḌkī ko aksar dekh letā huuñ
chalā jā.ūñgā jaise ḳhud ko tanhā chhoḌ kar 'alvī'
maiñ apne aap ko rātoñ meñ uTh kar dekh letā huuñ
sharife ke daraKHton mein chhupa ghar dekh leta hun
main aankhen band kar ke ghar ke andar dekh leta hun
udhar us par kya hai ye kabhi socha nahin main ne
magar main roz khiDki se samundar dekh leta hun
saDak pe chalte phirte dauDte logon se ukta kar
kisi chhat par maze mein baiThe bandar dekh leta hun
ye sach hai apni qismat koi kaise dekh sakta hai
magar main tash ke patte uTha kar dekh leta hun
gali-kuchon mein chaurahon pe ya bas ki qataron mein
main us chup-chap si laDki ko aksar dekh leta hun
chala jaunga jaise KHud ko tanha chhoD kar 'alwi'
main apne aap ko raaton mein uTh kar dekh leta hun
Videos
This video is playing from YouTube
Mohammad Alvi
sharife ke daraKHton mein chhupa ghar dekh leta hun
Mohammad Alvi
sharife ke daraKHton mein chhupa ghar dekh leta hun
Nomaan Shauque
Source :
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 41)
- Author : Mohammad Alvi
-
Publication : Rekhta Publications
(2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.