sharīk-e-ġham koī kab mo'atabar nikaltā hai
sivā.e dil ke so vo be-ḳhabar nikaltā hai
ye kaisā shahr hai kaisī hai sar-zamīñ us kī
jahāñ kī ḳhaak palaTtā huuñ sar nikaltā hai
jidhar haiñ pyāse udhar bārisheñ haiñ tīroñ kī
jidhar ġhanīm hai dariyā udhar nikaltā hai
use ḳhabar hai ki zulmat hai saf-ba-saf har-sū
ujālā haath meñ le kar sipar nikaltā hai
hafīz hāthoñ kā saaya hai sā.ebāñ jaisā
yaqīn hotā hai dil ko na Dar nikaltā hai
'ajīb dhund hai dasht-e-safar pe chhā.ī huī
na ḳhatm hotā hai rasta na ghar nikaltā hai
'mujībī' sauñp dī jis ko matā-e-jāñ maiñ ne
usī kā qarz mire naam par nikaltā hai
sharik-e-gham koi kab mo'atabar nikalta hai
siwae dil ke so wo be-KHabar nikalta hai
ye kaisa shahr hai kaisi hai sar-zamin us ki
jahan ki KHak palaTta hun sar nikalta hai
jidhar hain pyase udhar barishen hain tiron ki
jidhar ghanim hai dariya udhar nikalta hai
use KHabar hai ki zulmat hai saf-ba-saf har-su
ujala hath mein le kar sipar nikalta hai
hafiz hathon ka saya hai saeban jaisa
yaqin hota hai dil ko na Dar nikalta hai
'ajib dhund hai dasht-e-safar pe chhai hui
na KHatm hota hai rasta na ghar nikalta hai
'mujibi' saunp di jis ko mata-e-jaan main ne
usi ka qarz mere nam par nikalta hai
Source:
Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 694)
-
- Edition: 1993
- Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
- Year of Publication: 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.