Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shauq baqi nahin baqi nahin ab josh-o-KHarosh

Dr. Azam

shauq baqi nahin baqi nahin ab josh-o-KHarosh

Dr. Azam

MORE BYDr. Azam

    shauq baaqī nahīñ baaqī nahīñ ab josh-o-ḳharosh

    din vo pur-kaif the jab ham the sarāsar mad.hosh

    maslahat josh-e-baġhāvat ko dabā detī hai

    dil dhaḌaktā hai magar dil sadā.eñ ḳhāmosh

    ab koī sūrat-e-guftār nazar aatī nahīñ

    vo bhī ḳhāmosh mirā radd-e-amal bhī ḳhāmosh

    terī raftār lagātār ho kachhue tarah

    varna rah jā.egā raah meñ misl-e-ḳhargosh

    ziist raah pe tanhā na kabhī chal paayā

    ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ bhī rahe dosh-ba-dosh

    sāmnā dahr tanhā use ab karne de

    paañv meñ beTe ke aane lage terī pā-posh

    bazm-e-urdu se huī der bahut aa.e hue

    ab talak saañs meñ ḳhushbū hai mo.attar haiñ gosh

    ab to ghar-bār meñ lagtā nahīñ dil 'āzam'

    aisā lagtā hai ki ho jā.eñge ham ḳhāna-ba-dosh

    shauq baqi nahin baqi nahin ab josh-o-KHarosh

    din wo pur-kaif the jab hum the sarasar madhosh

    maslahat josh-e-baghawat ko daba deti hai

    dil dhaDakta hai magar dil ki sadaen KHamosh

    ab koi surat-e-guftar nazar aati nahin

    wo bhi KHamosh mera radd-e-amal bhi KHamosh

    teri raftar lagatar ho kachhue ki tarah

    warna rah jaega tu rah mein misl-e-KHargosh

    zist ki rah pe tanha na kabhi chal paya

    gham-e-jaanan gham-e-dauran bhi rahe dosh-ba-dosh

    samna dahr ka tanha use ab karne de

    panw mein beTe ke aane lage teri pa-posh

    bazm-e-urdu se hui der bahut aae hue

    ab talak sans mein KHushbu hai moattar hain gosh

    ab to ghar-bar mein lagta hi nahin dil 'azam'

    aisa lagta hai ki ho jaenge hum KHana-ba-dosh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now