shauq tadad ya miqdar nahin ho sakta
shauq tā'dād yā miqdār nahīñ ho saktā
mustanad 'ishq kā me'yār nahīñ ho saktā
ruuh meñ lams kī lazzat hai utarne vaalī
ab to is vasl se inkār nahīñ ho saktā
pattharoñ meñ tujhe hiirā nahīñ aatā hai nazar
tū mire dil kā ḳharīdār nahīñ ho saktā
is taraf se kabhī pahle koī guzrā hī nahīñ
dost ye rāsta hamvār nahīñ ho saktā
aa.ina ban nahīñ saktā hai mirā ham-āvāz
'aks pairāya-e-iz.hār nahīñ ho saktā
jab nazar kuchh nahīñ aatā hai to kah dete haiñ
koī manzar pas-e-dīvār nahīñ ho saktā
haal jaisā bhī ho māhaul banā letā hai
dil qalandar ho to bezār nahīñ ho saktā
nā-gahānī kī hai bas ek hī mushkil 'āsim'
aadmī vaqt pe tayyār nahīñ ho saktā
shauq ta'dad ya miqdar nahin ho sakta
mustanad 'ishq ka me'yar nahin ho sakta
ruh mein lams ki lazzat hai utarne wali
ab to is wasl se inkar nahin ho sakta
pattharon mein tujhe hira nahin aata hai nazar
tu mere dil ka KHaridar nahin ho sakta
is taraf se kabhi pahle koi guzra hi nahin
dost ye rasta hamwar nahin ho sakta
aaina ban nahin sakta hai mera ham-awaz
'aks pairaya-e-izhaar nahin ho sakta
jab nazar kuchh nahin aata hai to kah dete hain
koi manzar pas-e-diwar nahin ho sakta
haal jaisa bhi ho mahaul bana leta hai
dil qalandar ho to bezar nahin ho sakta
na-gahani ki hai bas ek hi mushkil 'asim'
aadmi waqt pe tayyar nahin ho sakta
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 120)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.