shisha-e-dil par utar jaana kisi taswir ka
shīsha-e-dil par utar jaanā kisī tasvīr kā
aah tanhā baiTh kar phir sochnā taqdīr kā
ek dil thā jo nishāna ho gayā dil-gīr kā
ik dukhī darvesh se kyā pūchhnā jāgīr kā
'zain' par ġhālib huā hai imtihāñ tāsīr kā
naqsh fariyādī hai kis kī shoḳhi-e-tahrīr kā
jab asīrī kī hadeñ mā'lūm karne meñ lagā
zā.iqa ḳhūrāk se aane lagā zanjīr kā
pyaar chhoḌeñ sāhib-e-dīnār ho gar jeb-e-dil
daf'atan ho jā.egā hal mas.ala tasḳhīr kā
ātish-e-dil kī ziyā se dī añdhere ko shikast
ḳhud pe yuuñ kholā hai maiñ ne rāsta tanvīr kā
vo ishāra de ga.e bā’d-az-zuhūr-e-rāz-e-dil
dekh kar merī taraf phir dekhnā shamshīr kā
shisha-e-dil par utar jaana kisi taswir ka
aah tanha baiTh kar phir sochna taqdir ka
ek dil tha jo nishana ho gaya dil-gir ka
ek dukhi darwesh se kya puchhna jagir ka
'zain' par ghaalib hua hai imtihan tasir ka
naqsh fariyaadi hai kis ki shoKHi-e-tahrir ka
jab asiri ki haden ma'lum karne mein laga
zaiqa KHurak se aane laga zanjir ka
pyar chhoDen sahib-e-dinar ho gar jeb-e-dil
daf'atan ho jaega hal masala tasKHir ka
aatish-e-dil ki ziya se di andhere ko shikast
KHud pe yun khola hai main ne rasta tanwir ka
wo ishaara de gae ba’d-az-zuhur-e-raaz-e-dil
dekh kar meri taraf phir dekhna shamshir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.