Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikasta chehron ko dekhne ke safar mein hun main

Zahid Naved

shikasta chehron ko dekhne ke safar mein hun main

Zahid Naved

MORE BYZahid Naved

    shikasta chehroñ ko dekhne ke safar meñ huuñ maiñ

    ajab tilismī musāfirat ke ḳhatar meñ huuñ maiñ

    vo chāñd hai to use ujāloñ kyā kamī hai

    ye baḳht merā ki phir bhī us nazar meñ huuñ maiñ

    havā kabhī shaam jañgaloñ se guzar ho terā

    to us se kahnā milo ki bād-e-sahar meñ huuñ maiñ

    havā tire haath meñ kahāñ aa sakūñgā ab ke

    na rāstoñ se guzar hai merā na ghar meñ huuñ maiñ

    vo mujh meñ hai jo mujhe nikālegā uljhanoñ se

    'naved' sadiyoñ se ḳhvāhishoñ ke bhañvar meñ huuñ maiñ

    shikasta chehron ko dekhne ke safar mein hun main

    ajab tilismi musafirat ke KHatar mein hun main

    wo chand hai to use ujalon ki kya kami hai

    ye baKHt mera ki phir bhi us ki nazar mein hun main

    hawa kabhi sham jangalon se guzar ho tera

    to us se kahna milo ki baad-e-sahar mein hun main

    hawa tere hath mein kahan aa sakunga ab ke

    na raston se guzar hai mera na ghar mein hun main

    wo mujh mein hai jo mujhe nikalega uljhanon se

    'nawed' sadiyon se KHwahishon ke bhanwar mein hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now