Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikasta KHwab ke malbe mein DhunDhta kya hai

Qaisar Shameem

shikasta KHwab ke malbe mein DhunDhta kya hai

Qaisar Shameem

MORE BYQaisar Shameem

    shikasta ḳhvāb ke malbe meñ DhūñDhtā kyā hai

    khañDar khañDar hai yahāñ dhuul ke sivā kyā hai

    nazar dhund meñ haiñ bhūlī-bisrī tasvīreñ

    palaT ke dekhne vaale ye dekhnā kyā hai

    abhī to kaaT rahī hai har ek saañs dhaar

    azal jab aa.e to dekhūñ ki intihā kyā hai

    rahegī dhuup mire sar pe āḳhirī din tak

    javāñ hai peḌ magar us aasrā kyā hai

    tujhe pasand kahāñ haal pūchhnā merā

    tirī nigāh meñ lekin savāl kyā hai

    dhuāñ nahīñ na sahī aag to nazar aa.e

    yuuñ chupke chupke sulagne se fā.eda kyā hai

    udaas raat ḳhāmoshiyoñ meñ ai 'qaisar'

    qarīb aatī huī duur sadā kyā hai

    shikasta KHwab ke malbe mein DhunDhta kya hai

    khanDar khanDar hai yahan dhul ke siwa kya hai

    nazar ki dhund mein hain bhuli-bisri taswiren

    palaT ke dekhne wale ye dekhna kya hai

    abhi to kaT rahi hai har ek sans ki dhaar

    azal jab aae to dekhun ki intiha kya hai

    rahegi dhup mere sar pe aaKHiri din tak

    jawan hai peD magar us ka aasra kya hai

    tujhe pasand kahan haal puchhna mera

    teri nigah mein lekin sawal sa kya hai

    dhuan nahin na sahi aag to nazar aae

    yun chupke chupke sulagne se faeda kya hai

    udas raat ki KHamoshiyon mein ai 'qaisar'

    qarib aati hui dur ki sada kya hai

    Source:

    Tridhara (Pg. 52)

    • Author: Dr. Hari Kunwar Rai 'Kunwar'
      • Edition: 1996
      • Publisher: Dishantar Parkashan
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now