shikasten aur bhi to hain kahani mein hamari
shikasteñ aur bhī to haiñ kahānī meñ hamārī
tirā hī ġham nahīñ shāmil udāsī meñ hamārī
ye kis ke naam kī mehñdī hamāre haath meñ hai
ye kis kā ġham utar aaya hathelī meñ hamārī
udaas āñkhoñ pe kaalā chashma ham pahne hue haiñ
qarīna aa gayā hai bad-havāsī meñ hamārī
yahāñ se ab rihā.ī kī koī ḳhvāhish nahīñ hai
maza aane lagā ham ko asīrī meñ hamārī
ye kis kā ġham nikhar kar aa gayā merī ġhazal meñ
ye kis kī ret bah kar aa.ī naddī meñ hamārī
ta'alluq baḌh rahā hai aur haqīqat khul rahī hai
mohabbat ghaT rahī hai āshnā.ī meñ hamārī
shikasten aur bhi to hain kahani mein hamari
tera hi gham nahin shamil udasi mein hamari
ye kis ke nam ki mehndi hamare hath mein hai
ye kis ka gham utar aaya hatheli mein hamari
udas aankhon pe kala chashma hum pahne hue hain
qarina aa gaya hai bad-hawasi mein hamari
yahan se ab rihai ki koi KHwahish nahin hai
maza aane laga hum ko asiri mein hamari
ye kis ka gham nikhar kar aa gaya meri ghazal mein
ye kis ki ret bah kar aai naddi mein hamari
ta'alluq baDh raha hai aur haqiqat khul rahi hai
mohabbat ghaT rahi hai aashnai mein hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.