shola-e-ishq ko KHud baDh ke hawa di maine
sho'la-e-'ishq ko ḳhud baḌh ke havā dī maiñ ne
aag ḳhud dāman-e-hastī meñ lagā dī maiñ ne
shab-e-furqat kī siyāhī jo zarā tez huī
sham' yādoñ kī tirī dil meñ jalā dī maiñ ne
bas-ki thī kaifiyat-e-zauq-e-mohabbat bhī fareb
kab ye samjhā ki jab ik 'umr gañvā dī maiñ ne
mujh se baḌh kar koī pāband-e-vafā kyā hogā
zer-e-shamshīr bhī qātil ko du'ā dī maiñ ne
us ne bhūle se bhī pūchhā na kabhī haal mirā
zindagī jis ke tasavvur meñ luTā dī maiñ ne
lauT kar aa.ī na āvāz na aayā koī
is ḳharābe meñ ka.ī baar sadā dī maiñ ne
phir dhaḌak kar dil-e-'arshad' ye sadā detā hai
dekh lo vaqt kī raftār baḌhā dī maiñ ne
sho'la-e-'ishq ko KHud baDh ke hawa di main ne
aag KHud daman-e-hasti mein laga di main ne
shab-e-furqat ki siyahi jo zara tez hui
sham' yaadon ki teri dil mein jala di main ne
bas-ki thi kaifiyat-e-zauq-e-mohabbat bhi fareb
kab ye samjha ki jab ek 'umr ganwa di main ne
mujh se baDh kar koi paband-e-wafa kya hoga
zer-e-shamshir bhi qatil ko du'a di main ne
us ne bhule se bhi puchha na kabhi haal mera
zindagi jis ke tasawwur mein luTa di main ne
lauT kar aai na aawaz na aaya koi
is KHarabe mein kai bar sada di main ne
phir dhaDak kar dil-e-'arshad' ye sada deta hai
dekh lo waqt ki raftar baDha di main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.